Thursday, April 22, 2010

Waqt

Main tumhe bula rahi hoon,
haan tunhe hi -
Zara mudo tow !
Ek baar , bas ek baar ,
ya fir thheher hi jaao;
bas ek hi pal ke liye!
Tum tow ekaaki hi badhte jaa rahe ho
kabhi waapas na aane ke liye,
Maine tumhe mutthhi mein band karna chaha ;
aur tum haath se fisal gaye,
tumhe rokane ko ruki main tow peechey aur peechey ho gayi!
arrey suno tow-
kya tum ek pal ruk kar sun bhi nahin sakte?
Haan ! tum tow sadiyon se dheer manthar gati se badhte hi jaa rahe ho;
kitney tumhe roktey roktey haar gaye,
tumse aagey jo nikalne ko daudey , woh aundhey munh gir gaye.

2 comments:

  1. बहुत बढ़िया रचना।
    जब हिन्दी में लिखा है तो लिपि भी देवनागरी हो न!
    रोमन में मज़ा कुछ कम हो जाता है।
    शुभकामनाएँ।

    ReplyDelete